Pyaar Ka Din
Artist:
Shiraz Uppal
Lyrics Contributed
By: mfghazi
tumhain kaisay bata doon tum mairee manzil ho, mairee manzil ho
jissay dhoonda hai nazroon nay wohi masoom sa dil ho
koi daikhay yeh tanhai yeh baychainee yeh majbooree
tamana hai kissi dil main jaga mil jaye thoree see
milay woh dil mujhay jo pyar kay kabil ho, mairay kabil ho
jissay dhoonda hai nazroon nay wohi masoom sa dil ho
mujhay iss haal main dekha to hontoon par hansee aayee
chalo kuch to kissi kay kaam apni baybusee aayee
mairee halat pay hanstay ho baray sangdil ho, baray sangdil ho
jissay dhoonda hai nazroon nay wohi masoom sa dil ho
|