Muhammad (PBUH) Ka Roza
Artist: Junaid Jamshed
Lyrics Contributed By: Nadir


PS: This Version contains a few additional verses as well

Mohammad ka roza qareeb araha hai
bulandi pe apna naseeb araha hai
farishton ye de do peghaam un ko
ke khadim tumhara Saeed araha hai

wafa tum na dekho ge hargiz kisi mein
zamana woh aisa qareeb araha hai
hifazat karo apney imaan o deen ki
zamana woh aisa ajeeb araha hai

tumhein kuch khabar hai kahan ja raha hoon
rasool-e-khuda hain, wahaan ja raha hoon
tumhein kuch khabar hai ke kia pa raha hoon
mohabbat ke unki maza pa raha hoon
chalo ja ke rehna madeenay hi ab to
qayamat ka manzar qareeb araha hai

ya khuda eik din jazba-e-ashiquie
ye karishma dikhaey to kia baat hai
qamli waley ke kadmon mein sar ho mera
or mujhey maut aaey to kia baat hai
aisey alam mein zamzam se la kar koi
eik saaghar pilaey to kia baat hai

woh madina jo konein ka taj hai
jis ke deedar momin ke mairaj hai
janey wala to shoq se jaey magar
ja ke wapas na aeey to kia baat hai