Maya Hai (Faisal Latif)
Artist: Drama
Lyrics Contributed By: Ravinderpal


Maya Hey Sab Maya Hey, Faisal Latif

Maya Hai
Sab maya hai
Sab dhalti phirti chaaya hai
Is ishq main ham nain
Jo khoya hai,jo paaya hai
Jo tum nain kaha hai
Faiz nain jo fermaya hai
Is ishq main ham nain jo khoya , jo paya hai
Maya hai
Sab maya hai
Maya hai
Sab maya hai

Jis gori per ham aik ghazal her sham likhain
Tum jaantay ho ham kyunker us ka naam likhain
Jis gori per ham aik ghazal her sham likhain
Tum jaantay ho ham kyunker us ka naam likhain
Dil us ki bhee chokat choom kay wapas aaya hai
Maya hai
Sab maya hia
Maya hai
Sab maya hai

Jab dekh lia her shakhs yahan herjaai hai
Is sheher say dur aik kutia ham nain banaai hai
Jab dekh lia her shakhs yahan herjaai hai
Is sheher say dur aik kutia ham nain banaai hai
Aur us kutia kay maathay per likhwaya hai
Maya hai
Sab maya hai
Maya hai
Sab maya hai

Sab dhalti phirti chaaya hai
Is ishq main ham nain jo khoya, jo paaya hai
Jo tum nain kaha hai
Faiz nain jo fermaya hai
Is ishq main ham nain jo khoya , jo paya hai
Maya hai
Sab maya hai
Maya hai
Sab maya hai