Jee Chahhe Tau
Artist: Abida Parveen
Lyrics Contributed By: Hena


Jee chahay toh sheesha ban ja, jee chahay paimana ban ja
Sheesha paimana kya ban-na, mai ban ja mai-khana ban ja

Mai ban kar mai-khana ban kar, masti ka afsana ban ja
Masti ka afsana ban kar, hasti sai baigaana ban ja

Hasti sai baigana hona, masti ka afsana ban-na
Iss honai sai iss ban-nai sai acha hai deewana ban ja

Deewana ban jaanay sai bhi deewana hona acha hai
Deewana honai sai acha, khaakay dar-e-jaanana ban ja

Khaakay-dar-e-janaana kya hai, ehl-e-dil ki aankh ka surma
Shama k dil ki thandak ban ja, noor-e-dil-e-parvana ban ja

Seekh zaheen k dil sai jalna, kaahay ko har shama par jalna
Apni aag mai khud jal jaaye, tu aisa parvana ban ja