Jalwa Bkadre Zarf-e-Nazar
Artist: Abida Parveen
Lyrics Contributed By: Muhammed

jalwa baqadr e zarfay nazar daykhtay rahay
kia daykhtay ham un ko magar daykhtay rahay

apna he aqs payshay nazar daykhtay rahay
aaina ru baru tha jidhar daykhtay rahay

jalwa baqadr e zarfay nazar daykhtay rahay
kia daykhtay ham un ko magar daykhtay rahay

un ki hareemay naaz kahaan aor ham kahaan
naqsho nigar e parda,ay dar daykhtay rahay

jalwa baqadr e zarfay nazar daykhtay rahay
kia daykhtay ham un ko magar daykhtay rahay

aisi bhe kuch firaaq ki raatain be guzar gain
jaisay unhe ko paysh e nazar daykhtay rahay

har lehza shaan e husn badalti rahe jidhar
har aan ham jahan e digar daykhtay rahay